Insan ka duniya mein maqsad






DUNIYA MEIN AANE KA MAQSAD
--------------- --------------- -------------
yad rahe ke duniya mein ALLAH tala ne hame
aml-e-swaleh karne ke liye bheja hai duniya
mein aane ka wahed maqsad yahi hai ke hum
sab acche aamaal karne ki koshish mein klage
rahein...kyun ki acche amaal ka badla bhi
accha hi hai .aur hame yahan rehkar bure
aamaal se har qeemat par bachna
chahiye ...kyun ki bure aamaal ka badla bhi
bura hi milega .. MOHAMMAD sallellaho alaihe
wasallam ne irshad farmaya- fanaa hone wali
is duniya ke muqabile mein akhirat ko tarji
do. kyun ki hisab ka din sar par hai aur ye
duniya akhirat ke samne 0(sifar) hai duniya
mein tum aye ho akhirat banane ke liye na ke
hamesha hamesha duniya mein rehne ke liye.
aur jis shakhs ne duniya ko aish-o-ishrat
araish ka ghar bana liya aur akhirat ko bhool
gaya to ayese shakhs ke liye yahi duniya ka
ghar hi ghar hoga akhalmand insan wo hai jo
duniya ko anqarib fanaa hojane wali fanaa ko
pahoch jane wali shaye samjh kar apni
zindagi guzare .. MOHAMMAD sallellaho alaihe
wasallam ne irshad farmaya-aye logon tum
akhirat ke bete bano duniya ke bete na bano
umm-e-akhirat badi humdard,mehrban
,shafeeq aur raahat-o-araam pahochane wali
hai .aye insan kab tak is tarha be maqsad
zindagi guzarta rahega kya aane wale saqt
tareen manzil ka tujhe kuch bhi khayal nahi
kya qabar ki haibatnaak tareeki...maida n-e-
hashr ki garmi...hisab-o -kitab ki
sakhti...jahann um ki badtareen-o-sha deed
tareen aag tujhe ALLAH tala ki bandagi ki taraf
nahi bulati wahan jo cheez kaam mein aane
wali hai wo sirf neli hogi aur nek aamaal
honge .aur amal acha hai to hame iska sila
accha milega.warna jhannum ki aag ..
ALLAH tala hame aur tamam musalmanon ko
apni zindagi mein ache aamaal karne ki
toufeeq ata farmaye..aur tamam musalmanon
ko duniya mein ane ka maqsad hasil karne ki
aur fikr-e-akhirat mein apni zindagi guzarne
ki toufeeq ata farmaye ameen...